Released: January 17, 2020

Songwriter: Ahmer

Producer: Ahmer

Verse 1

Tanashahi na chalegi
Zinda mein jab tak, tumari chinta
Hum hi toh yahan ke diggaj, tum sunte kinka?
Chahte ye hinsa
Toda darr ka pinjra
Bura waqt toh pigla
Bura waqt ab inka!
Azadi wale aaye boriya bistar bandho
Hum sab mein samaye, hum se panga na lo
Hathiyaar phenko dekho meri baat maano
Nahi toh, brrrh brrrh brrrh El chapo!
Baithe bhookhe intezaar mein mere cammando
Aaj hi asli remand ho, sookhe rapper tum sambhalo
Main hi sab ka zawal toh jaan bachalo
Aag mein haath na daalo, khakh ho jaoge saalo
Haan haan, utni lambhi na tumari daud
Haan haan, kaafi thandha hai ye saara josh
Haan haan, baato ke bhoot, tode inke chonch
Qalam ye kalashnikov, dene wale kutti maut!

Break

Srinagar se har nagar
Kandho pe mere shahar ka safar
Ye umda mosiqi ka janam
Ye baate hogi na inne huzum par hum na dete fuck
Sach, maa kasam!

Hook

Toh jaan lo!
Aane wala waqt bura
Khel saara duan duan
Zindagi toh ek jua
Maan lo!
Scene pura sakht hua
Rab ne tha mujhe chuna
Dedo mujhe takht mera!
Jaan lo!
Aane wala waqt bura
Khel saara duan duan
Zindagi toh ek jua
Maan lo!
Scene pura sakht hua
Rab ne tha mujhe chuna
Dedo mujhe takht mera!

Verse 2

Hassi mazak hua kaafi, sona sab ka haraam ab
Rehem na zara bhi dekho bana mein vinashak
Karle salaami baje teri hi jagah par
Khoon paseene se khada kari ye imarat
Aage bade kaafi na gamand kiya
Kiya joh bhi mann kiya
Thoda toh mein sanki sa, ibtida, meri kala, kill kara
Sada meri har jagah gunje
Sab rakhte yaad ye mural jaise Lupe
Bukhar joh na chhoote, ye bani meri dhaal joh na tute
Azaab nikle muh se
Benaqaab hue jhoothe tu sambhal ke baat kar
Inn fuddu labelo ko aaya seedha mein maand kar
Inn fuddu owero ko aaya ulta mein taang kar
Khela har din jaan par, keher meri zabaan par
Lehar aisi na dekhi tum ne kabhi, na na!
Haan tujhe bhi hua kya ab yakeen? wah wah!

Break

Srinagar se har nagar
Kandho pe mere shahar ka safar
Ye umda mosiqi ka janam
Ye baate hogi na inne huzum par hum na dete fuck
Sach, maa kasam!
Main bola
Srinagar se har nagar
Kandho pe mere shahar ka safar
Ye umda mosiqi ka janam
Ye baate hogi na inne huzum par hum na dete fuck
Sach, maa kasam!


Hook

Toh jaan lo!
Aane wala waqt bura
Khel saara duan duan
Zindagi toh ek jua
Maan lo!
Scene pura sakht hua
Rab ne tha mujhe chuna
Dedo mujhe takht mera!
Jaan lo!
Aane wala waqt bura
Khel saara duan duan
Zindagi toh ek jua
Maan lo!
Scene pura sakht hua
Rab ne tha mujhe chuna
Dedo mujhe takht mera!

Main jaanleva

Ahmer

Ahmer is a prolific rapper and producer from Srinagar, Kashmir. Since a young age, Ahmer has been acutely aware of the violence that plagues that valley, and his lyrics reflect a self-critical and self-aware artist that is trying to make sense of one of the most complex issues of our time. By diving deep into his and his family’s history in the valley, Ahmer manages to introduce to people to the complexities of the Kashmiri people and provides a more holistic view of their society.