Released: July 5, 2019

Songwriter: Ahmer

Producer: Sez On The Beat

VERSE 1:
Kaateghe inne lafz
Jaise chak maare magarmach
Khabar mujhe sab
Ye ne luck
Sabar ka ye phal
Kheenche mujhe das, neeche
Magar koi na safal
Main tab bhi atal
Ugta kamal
Ab na koi qasar
Mukaam ke kareeb mein
Awaam mere peeche
Alag mere tareeke
Hum harne se seekhe
Phir jaan dete beat pe
Baate karte natije
Iraado se ameer mein
Hai kaam mere liye jaise khudabandi
Hai lahoo mein mere garmi
Joh jalu toh jale sabki
Waise na chale yahan hamdardi
Industry na sune mere mann ki
Tu kaam kar free!
Hoga khatama aaj
Kateghe sar bhi
Hai ye maut ka shraap
Hileghi dardi
Dekhne wale ye saare ab asli taakat
Rakhta dost aur dushman apne kareeb
Jaise qalam se kaghaz
Likhayi waqt se aagey, jaise mein Ghalib
Bande umeed ke dhaage, kiya sab sabit
Tu chahe kuch bhi bounk, khush mere walid
Mujhe na duniya ki load, khush mere walid
Rakhta na in jaisi soch tabbi mein shatir
Kaanton ki nok pe chalke kiya sab haasil
Nazre shikhar pe, gaade jande hunar ke
Choti umar se na khush aasan safar se
Tha ghar ka business par chah thi kuch khud se karte
Shuru kiya sifar se aur sifar se hi nidar mein
Bana chehra, main hi Kashmiri hip hop
Jaise Jehovah, hun laane wala sehlaab
Hone wala laal pura aakash, ye nakliyon ka sarvanaash
Sar kharab mera paagal dimaag, bars ye badmizaz
Iss saal koi safe nahi, Iss kaam mein break nahi
Ye jaan zindagi meri, lagi dhaav pe
Gyaarah mahino ki ye dhayri, ab gusse ghi taang mer
Aaya album suno saare itminaan se
Shukriya unko joh pehle se mere saath the
Panne kitaab ke bare tumne vishvaas se
Ye meri qayanaat hai
Ye meri qayanaat hai
Ek nayi shuruwat, saare sawalo ka mein haazir jawab

HOOK:
Chinar ke paato se bani mosiqi
Hai ghehri ye kahaniya, ye Jhelum si
Nisar iss qalam mein meri bandagi
Inn gaano mein bassi hai meri zindagi

Ahmer

Ahmer is a prolific rapper and producer from Srinagar, Kashmir. Since a young age, Ahmer has been acutely aware of the violence that plagues that valley, and his lyrics reflect a self-critical and self-aware artist that is trying to make sense of one of the most complex issues of our time. By diving deep into his and his family’s history in the valley, Ahmer manages to introduce to people to the complexities of the Kashmiri people and provides a more holistic view of their society.