Released: October 27, 2019

Songwriter: Ahmer Javed

Producer: Ahmer

Verse:

Main gira asmaan se, atka seedha fasaadh mein
Paansi ke jaal mein, phasa hua jallad ke
Peeche pade nasal kashi ke keede, meri jaan ke!
Aisa mashra tum rakho apni choti si gaand mein!
Mera fasala hai maut se kum, waqif! na hun anjaan mein
Dekhe chote kafan, kaafi zehni dabaav hai
Bache jailo mein bandh, naahi khulte dukaan hai
Inke mele lagte khushi ke, ye sab kuch jaanke!
Sharam karo, tumare haath khoon se range hai
Tumare hi naam ke toh hote yahan dange hai
Kya ye maalik hai tumare? Kya ye desh bade hai?
Ye toh qaatil hai purane, joh bas bhes hai badalte
Ye woh angrez jaise, jinke gulaam the tum hi
Qaum pasti ke naam pe hai dukaane chal rahi
Kaise rahu khush jab dekhi na khush haali hai kabhi
Kyu ye baate unkahi, kyu ye baate unsuni

Breakdown:

Kaafi gaddar Kashmir ko chalate the
Ab jailo mein bandh, Kya mila inki chaatke?
Kutte ho tum sab, pile haraam ke
Hisaab karta rab, ab sado araam se!
Ab samajh aayegha
Kitne masoom mare!
Kitno ke ghar jale
Kya hota PSA
Hum kaise jeete the!

Verse 2:

Siyasi gundagi mein jannat ko lapta inne
Jahnum ka banake theka
Azmat ke lootere gumein
Voto ke liye ye nache aur jhoome
Ye chaaate aur choome!
Bola tha, hai hanikarak ye jhumle, mere
Munafiko ke liye!
Toh Bolo akhri khwahish apni
Koi reham nahi
Lafzo ki goli baari hogi!
Sher ki chamdi pehen ke desh ko chalati bakri
Hone ko hai halaq , aaj ye saare sanghi!
Raato ko jaagte mere log mashaal leke
Zaalim ke hath mein Bandook, woh humari jaan ke peeche
Pada humare, maan samman ke peeche!
Ye rakhna chahte hume pairo ke neeche
Par hum pairo ke neeche kabhi aana na paye
Ye todna chahte hume par tab bhi hum jud jaaye
Khouf ke saye mein
Jhoot ki khayi mein
Machi hai loot!
Tumko na dikhai de (kab dekhe gha?)
Kyun hum manne joh hume Manzoor nahi?
Kyu tum logo mein itne maqbool nahi?
Insaaf dete toh aaj aise na hote shahyad
Mare hue begunao mosiqi ye!

Hook:

Inqalab! peeche hatna nahi
Haq maang!
Kissi se darna nahi
Inqalab!!

Ahmer

Ahmer is a prolific rapper and producer from Srinagar, Kashmir. Since a young age, Ahmer has been acutely aware of the violence that plagues that valley, and his lyrics reflect a self-critical and self-aware artist that is trying to make sense of one of the most complex issues of our time. By diving deep into his and his family’s history in the valley, Ahmer manages to introduce to people to the complexities of the Kashmiri people and provides a more holistic view of their society.